Fasal sahayata yojana Bihar me apply kaise karein? WEPPIDEO.COM

Fasal sahayata yojana Bihar me apply kaise karein?

Fasal sahayata yojana

Swagat hai aapka is naye post pe aaj ke is post main hum bihar rajya fasal sahayta yojna avam adhiprapti se sambdhit website ke bare main janege sath he hum janenge ki kaise aap yadi ek kisan hai to is website ki madad se apne fasal ka bima kar sakte hain or hum aaj aapko is website se related sabhi jankari tatha poori prakriya ke bare main visleshan karenge aaj hum aapko is website se fasal bima karne ki sampoorn jankari muhaiya karayenge sath he yadi appko koi samsaya hoti hai to uske liye full process video bhi uplabdh karayenge .Agar phir bhi aap nahi samjhte hain ya koi samasya hoti hai to aap hum se direct comment karke ya mail karke poori jankari le sakte hain .

   Ab hum chalet hain apne topic per or aapko poori jankari available karane ki kosis karte hain,

Kya hai fasal bima sahayat  yojna  avam adhiprapti ?or kiske liye hai ?

Fasal sahayata yojana Bihar
Fasal sahayata yojana Bihar

Fasal bima sahyata yojna ek bihar sarkar dwara chalaya gya  ek yojna hai jo bihar rajya main sabhi krishak raiyat or gair-raiyat kisan  jo kisi tarah se kheti karte hain ,apne khet main lage fasal ka bima (insurance ) free of cost karwa sakte jinka vahan bihar sarkar karegi or sath he agar achchhi fasal hue to use apne pax samiti dwara  nuentam samarthan mulya main kharidegi. Or  iska paisa 48 ghanto ke ander NEFT/RTGS dwara kisano ke account main transfer kar diya jayega. Yah bihar ke kisano ke liye vardan sabit hoga kyunki kisano ki sabse bari samsya unhe fasal kharab hone ka darr lga rahta hai ki pta nahi kab baadh aa jaye kab andhi aa jaye ya kab sukha par jaye  or agar in sab se bach kar kanhi upaj ho gayi to phir bechne ki sabse bari samsya  ki ab fasal kanha bechi jaye vyapari  or sahukar onne – ponnne damo par kharid lete hain pta nahi unhe achchi fasal upja kar bhi sahi dam nahi mil pata hai or na hi wo apna kheti ke liye lia hua rin chukka pate hain. In tamam muskilo ka hal hai ye fasal bima yojna. Sarkar bas unhi logo ka anaj kharidegi jo ye bima kraye honge sath he  sahkarita vibhag bihar se registered honge.

Kab hoti hai fasal bima sahayat  yojna  avam adhiprapti ki avedan ?

Yah pratek fasal main lagu kiya jata hai or ise karne ke liye 30 se 45 din ki avadhi di jati hai .  Means ye dono fasalo(ravi or kharif) ke liye unke buwai ke samay main aavedan kia jata hai,

Kya sab documents ki hoti hai  jarurat aavedan ke liye ?

Iske liye mukhya documents jo aapko aavedan karne main aavsayakta paregi  niche likhi hue hai:

  • Kisan registration number .
  • Aadhar card (scaned copy)
  • Passbook  (scaned copy)
  • Passport size photograph (scaned copy)
  • LPC  (scaned copy)
  • Swaghosna patra (self decleration letter)
  • A unique mobile number (*unique means  pahle se registered na ho)

Kya hai fasal bima sahayat  yojna  avam adhiprapti ka official website ?

Kaise karein registration or apply ?

Fasal sahayata yojana Bihar
Fasal sahayata yojana Bihar

Isme aavedan ke liye poori prakriya is tarah se  hai:

  • Sabse pahle apna browser open karenge or usme nya tab kholenge or address bar main uski website rcdonline.bih.nic.in/fsy type karenge ya aap chahe to yanha se clicl karke bhi jaaa sakte hain .
  • Is website main circle draw kia hoga aapko circle ke kisi bhi bhag pr click karna hai aap dusre website pr move karoge janha aapko login ka otion dikhega.
  • Agar aap pahle pichle season main apply kia tha to yanha apna mobile number or password dalkar login Karen agar aap apna password bhul gaye hain to password bhul gaye hain optio per click karein  or apna mobile number daal kar get password per click Karen aapko aapka password aapke mobile per message dwara bhej dia jayega.
  • Agar aap naye user hain to login ke upri hisse janha likha gya hai password pane ke liye yanha click karein per dabaye  .
  • Ab aapko naya page open hoga janha aapko apna kisan registration number dalna hai or submit karna hai .
  • Yanha aapki kuchh details bharne hain jaise apna state, district , block, panchayat, village  aadi select karna hai, apna password bharni hai tatha apna account number bank name and ifsc code bharni hai or save button per click karni hai or aapka registration complete ho gya .
  • Ab aapko apne account main phir se login karni hai iske liye aap apna mobile number or  jo password aapne registration  main dena hai or login karna
  • Iske bad aap apna aadhar number dalkar  or naam adharcard pe likha hua dalkar verify and save button pe click karna hai.
  • Ab home button daba ke main menu mai return hona hai or tasweer pahchan patra tatha passbook upload karein pr click karna hai or aap naye page main redirect honge. Dhyan rahe aap apne passbook or identity card ko pdf main scan karein jo ki 1 mb se kam hona chahiye or photo jpeg format main jo 50kb se kam hona chahiye. Ye sabi successfully upload karne ke baad aap go to home button pe click karein .
  • Ab apne season ke hisab se aavedan window pe click karein filhal main kharif season main ye post likh rha hun to aapko kharif ke bare main detail bta rha hun . aise he ravi ka bhi hota hai same process main.
  • Ab hum kharif fasal sahayata hetu vivaran pe click karenge or new page khulegi janha apne fasal se related sabhi jankari deni hai jaise konsi fasal hai ?khata khesara ? kitna rakwa hai ?kitna boya gya hai ?

Poori jankari fill karne ke baad save button pe click karenge jab upar ye message aa jaye ki record submitted successfully tb fir se home button pe click karenge or home page pe jayenge .

  • Ab documents yani fasal sahayata hetu  aavedan ke liye apne khet ka dawa praman patra (LPC Rasid) or swaghosna patra (consent form) upload karna hai jo ki  1mb main ho or pdf file format main hona chaiye
  • Phir save button pe click karna hai jab sabhi documents successfully upload ho jaye phir home button pe click kr home page pe jaye .
  • Finalise  karein :- ab aavedan ko antim jama karne ke liye aavedan ko antim roop de pe click karein or ek naya page khulega yanha agar aapne pichhele season main apply kia hai tb sidhe final submit pe click karenge or nahi yadi aapne is bar first time apply kiya hai to  get otp for finalise pe click karein or aapke registered mobile pe OTP receive hoga jo 4 digitki hogi use dale or submit button pe click karein.
  • Ab  cosent box pe tick karein or  final submit pe click karein  or finally submit hote he  apna rasid download ya fir print karein.

Ye rahi sari jankari jo aap ko is website se related jo aap ko avedan karne ke liye hona jaruri hai . Agar aapko hamara post achchha laga ho to aap humare post ko shrare karein . niche video main bhi aapko puri jankari provide ki gayi hai

कृषकों के सहायतार्थ सहकारिता विभाग का हेल्प लाईन नंबर (0612)-2200693.,1800-1800-110  

Leave a Comment

like to read more article like this !